Saturday, August 18, 2012

Gazal-Chupa Hi Lete

gaar baat hoti bas chupane ki, to chupa hi lete
per chupaye chupti hai kya ye baatain.

ghar sai naa nikelte tum wo saj sawar ke,
aur tumhe dekhne hum bazar naa jayen.
hoti baat itni si to, hum chupa hi lete.

jis kadar aap ke payal chanakte hai,
hame raste sai jate dekh kar,
wo sirf aap ke daudte kadam hote, to hum chupa hi lete

ghar baat hoti bas chupane ki, to hum chupa hi lete.

aap jo aaye ghar sai, hamare teraf
her badta kadam aap ka, ghar hamra basata hai
baat bas ek nazar dekh lun hoti, to chupa hi lete.

mujhse kehte hai mere dost, aaj rehmat hai kudha ki jo tum milne aaye
per kyamat hai kudha ki, jo kabhi yaar sai naa mil paye
ab to Therna bhi hai tere sath, sath chalne ki hi baat hoti to chupa hi lete,

Ye jo ammi hai mere rooj datan karti hai hai,
ab to ye bhi tumhe pehchanti hai, baat bas mere hoti to chupa hi lete.

jo ye tikti nahi thi anke mere aur tumhariiii,
her baar jo ruk jati hai tumpe aake,baat sirf mere anko ki hoti to chupa hi lete

Karz jo muskara karke diya hai tumne,
sath rehta to wapas kar pata,
jana tujhko hai, bulawa aaya hai.
baat kuch der ki hoti, to chupa hi lete

No comments: